Thursday, February 16, 2012

Ye baat samajh me aayi nahi, Aur mummy ne samajhai nahi...

Ye baat samajh me aayi nahi,
Aur mummy ne samajhai nahi.
Mai kaise mithi baat karun?
Jab mithi chiz koi khai nhi.
Ye chand kaise maamu hai?
Jab mumy ka wo bhai nahi.
Kyun lambe baal hain bhaalu ke?
Kyun usne triming karai nahi.
Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.
Nana ki biwi jab nani hai,
Dada ki biwi jab dadi hai.
Papa ki biwi kyon papi nahi?
Samundar ka rang kyu neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahi.
Jab school me itni neend aati hai.
Toh kyun bed wahan rakhwai
nahi?
Ye baat samajh mein aayi nahi
Aur mummy ne samjhai nahai.
Mai kaise mithi baat karun?
Jab mithi chiz koi khai
nahi. !!!! :D :D.

No comments:

Post a Comment