Andheri raat mein shama jalana bhool jate ho
Hamari yaad aati hai bhulana bhool jate ho
Jo ehsaan tum samajhte ho wo ehsaanto nahi magar
Jab ehsaan karte ho jatana bhool jateho
Tumhari ik yehi aadat pareshan hum ko rakhti hai
Nazar mein to aa jate ho samana bhool jate ho
Hame mehsoos hota hai hamare qurb mein aakar
Jo tanhai mein biti hai sunana bhool jate ho
Tumhare hath main aksar gulabi phool hota hai
Hamari raah mein lekin bichana bhool jate ho
Tumhe to laut kar jane ki aksar fikr rehti hai
Magar jab laut jate ho to aana bhool jate ho
Suna hai tum apni hatheli per hamara naam likhte ho
Magar jab hum se milte ho dikhana bhool jate ho

No comments:
Post a Comment